Un jheel si gehri aankhhon mein ik shaam kaheen abaad to ho,
Us jheel kinaaray pal do pal ik khuab ka neela phhool khhilay,
Wo phhool bahaain lahron main ik roz kabhi ham shaam dhalay,
Us phhool kay behtay rangon mein jis waqt larazta chand chalay,
Us waqt kaheen un aankhhon mein Us guzray pal ki yaad to ho,
Phhir chahay umr_e_samander ki har moj pairahan ho jaye,
Phhir chahay aankhh dareechay say Har khuab guraizan ho jaye,
Phhir chahay phhool kay chehray par har dard Numaiyan ho jaye,
Us jheel kinaray pal do pal Wo roop nagar abad to ho….."
By: neha
In Poerty
View SMS